- Main sans b gin kar leta hoon, jis roz safar mein rehta hoon
Ek khofzada jiwan le kar, main maut k ghar mein rehta hoon
Jahan zaat nasal k jhagron pe, hathyar uthaya jata hai
Har roz kai masoomon ka, jahan khoon bahaya jata hai
... Jahan maut b matam karti hai, main usi nagar mein rehta hoon
Ek khofzada jiwan le kar, main maut k ghar mein rehta hoon.....
Har roz kisi maan ka beta, be maut hi mara jata hai
Har roz kisi ki mayyat ko dharti mein utara jata hai
Kabhi main b mara jaonga, main isi fikar mein rehta hoon
Jis shehar ka naam Karachi hai, main isi shehar mein rehta hoon
Ek khofzada jiwan le kar, main maut k ghar mein rehta hoon....~ Unaiza Syed (Karachi)
Sunday, April 1, 2012
Poem - Karachi
This was posted on FB by my friend from Karachi (Pakistan)... Karachi is turning really bad these days:
Subscribe to:
Posts (Atom)